Yeh Hai Mumbai Meri Jaan 

Woh Elco ki pani puri, 
Woh Chowpatty ki chaat, 
Woh Naturals ki ice cream, 
Wah usme thi kuch baat! 

Woh Tewari ki mithai, 
Woh raste ka dosa, 
Woh Shivsagar ki pav bhaji 
Aur Guru Kripa ka samosa. 

Woh local train ka 'suffer', 
Woh Juhu beach ki hawa, 
Woh Chowpatty ke tange, 
Aur, Joggers Park ka samaa. 

Woh December ki zara si sardi, 
Woh baarishon ke mahine, 
Woh garmi ki chuttiyan, 
Jab chhoot te they paseene. 

Woh Holi ki masti, 
Woh Navratri ka garba, 
Woh Diwali ke patakhe 
Aur Ganpati ka shor sharaba. 

Woh peak hours ki traffic, 
Woh BEST ki rush, 
Woh tadapti garmi mein, 
Snowmans ka kala khatta slush. 

Woh Juhu beach ka mahol, 
Woh samunder ki leheren, 
Woh doobte suraj ka nazara, 
Wah uske kya kehene! 

Woh Sterling ka popcorn, 
Aur Cotton World mein shopping, 
Woh Fashion Street ka nazara, 
Aur Nariman Point ki building. 

Woh cinema ke queue, 
Woh black ki ticket. 
Woh Shivaji Park ka maidan, 
Jahan bachche khelte hain cricket. 

Itni cheezen kehene ke baad, 
Aur kitni karoon main badaee, 
Yeh shehar hain mera apna, 
Jiska naam hai Mumbai!